DOWNLOAD

Tuesday, May 28, 2019

Top 5 photo eraser apps for android 2019, 5 Best Photo background eraser app download

TOP 5 PHOTO BACKGROUND ERASER APPS FOR ANDROID 2019

Dosto aapka firse swagat hai hamare website me dosto mai hu apka friend sushant and aaj mai aapko batane ja rha hu 5 aise android apps ke baare me jiska use karke aap apne android phone me photo editing ya photo edit se related kuch bhi karte ho to is app ka use karke koi bhi image ka background bahut hi easily erase kar paoge and bahut aashani hogi photo editing me jaise aap koi banner banate ho apne phone me to aap apne photo se background erase karne ke liye bahut se apps ka use karte honge lekin fir bhi thikse photo ka background erase nahi hopata aur banner jo aap bana rahe hai usme aapke pic me jo bhi background hota hai usme se aapke jo body hota hai photo me usme outlines aajate hai aur sharphness type erase hota hai aur hame smoothnesh wali background erase hua pic chahiye hota hai to guys aapko tention lene ki jarurat nahi hai aaj mai aapko aise 5 top background eraser app ke baare me bataunga jisme aapko kaafi jyda madad milegi to chaliye doston ham aage dekhte hai 5 kounse apps hai jisme aap apne pic ka background bahut hi easily erase kar skte ho dosto aapko ye post pasand aaye to mere channel ko subscribe jarur karen and follow our website for all backgrounds and png to chaliye aage dekhiye kounse wo apps hai..


So guys isme maine jo bhi apps bataye hai sab aapke bahut kaam aayenge aur ye sabhi bilkul free apps hain jo android me playstore me aasani se mil jayenge so aap inko download kar paoge...

1. BACKGROUND ERASER APP
    Guys ye application sirf photo background erase karne ke liye banai gayi hai isiliye isme bahut se features diye gaye hain jiski madad se aap apne photo ke background ko erase karke usme dusre backgrounds add kar sakte hai jo ki aap is app se apne photo ka png ya stamp type save karke dusre apps ki madad se manipulation editing kar sakte ho.

FEATURES:
So guys ab baat aati hai background eraser app ke features konse hai jisme aapko easily background erase karne ko milta hai to isme aapko 6 options yaani features dekhne ko milte hai jo hain-

  1. Bg Colour
  2. Extract
  3. Auto
  4. Manual
  5. Repair
  6. Zoom
  •  BG COLOUR use of bg colour on background eraser app, Dosto mai aapko bata raha hu ki aapko is app ke bg colour wale option ko kaise use karna hai, to aapke pic me agar ek colour me hi background hai jaise aap kisi wall/diwar me photo click karaye hai to aapko bahut aashani hogi apne pic ka background erase karne me jisme aapko apne background ka colour select karna hai jaise aapke pic ka background green hai to aap bg colour me green colour select karke ashani se erase kar paoge..

  • EXTRACT using extract option on background eraser app, guys ye bhi ek bahut accha feature hau jisme aap apne image me us area ko select karle jis area ko aapko extract karna hai aur wo area blue colour me hojayega aur wo area jaha pe red colour me hai wo sab erase hojayega and aapka pic extract hojayega..
  • AUTO Doston ye apne liya banaya gaya hai kyuki hame apne se photo ke background me haath ghumana aur time pass karna bilkul pasand nahi aata to ye feature kaafi shaandar hai jiske name se hi malum hota hai ki ye auto erase karega to hn guys sahi samjhe aaplog ye option apun logo ke liye hi hai hehe thoda bantai language me bol diya, So friends is feature me aapko bas us area me click krna hai jaha aapko erase karna hai to jaha tak is app ko lagega ki background erase karna chaiye ye us area ko erase kardega only in one click..
  • MANUAL Ye option auto tool ke bilkul ulta hai jisme aapko name se hi pta chal rha hoga ki isme manualy sab kuch karna padega to ji hn isme khudse hame 4 se 5 minutes leke apne pic ka background erase karna hoga jo sabse boring kaam hai...
  • REPAIR waise iska jyda kaam nahi hai fir bhi aap galti se kabhi apne pic ka wo part jaha aapko erase nahi karna hai aur erase hogya to image ko wo part ko repair karne me ye feature kaam aata hai jiske name se hi pata chalta hai ki ye background repair ka kaam aata hai...
  • ZOOM doston isme apne pic ka wo area zoom karke erase kar sakte ho jisko aapko erase karna hai to aap zoom karke erase karte ho tab to ekdam sahi se erase karoge bilkul professional background erasing..

So doston aapko ye app pasand aaye to comment me jarur batana ab aage badhte hai apne dusre app me so our 2nd app is

2.PHOTOSHOP EXPRESS (PS TOUCH)

  Friends is app ko sab jaante hain ye kyuki ye app computer me pehle se hi hai jo ki kaafi famous hai aur ye google ka hi app hai jisme aapko high quality photo editing filters and high performance dekhne ko milega guys waise to ye ek professional photo editing app hai aur isme sabhi filters diye gaye hain lekin mai aapko is app ke us feature ke baare me bataunga jiska mai is article me baat kar raha hu jo hai background erasing app so isme aapko aur bhi aashani and professional background eraser milenge jisme eraser ke bhi 2 options hai jisko ham aage padhenge ki kaise iska use karna hai so aage jarur read kijiye...

FEATURE FOR ERASING
  1. Eraser brush
  2. Quick selection tool
  • ERASER BRSUH Guys ye feature hame sabhi editing apps me dekhne ko milte hain lekin is app me aap iska use karke dekhna aapko maza aajayega jisse aap apne iamge ko kaafi professional tarike se aur easily background ko erase kar paoge jisme bilkul smoothnesh ke saath erase hoga background but guys usme thoda time lagta hai and aapko isme bor bhi lag sakta hai kyuki isme aap ko manually haath se slide karke erase karna padta hai aur ye to kaafi slow process hai lekin jis process me jyda time lagta hai wo utna hi jyda acche se hota hai to isko aap use karke dekho and comment me jarur batana ki kaisa laga to chaliye quick selection tool ko bhi bata deta hu..
  • QUICK SELECTION TOOL Guys jiska aapko intezar tha wo yahi tool hai jisme aapko jara sa bhi mehnat karne ki jarurat nahi padne wali isme aap apne pic me se apne body wale part ko ya apne image se jis pat ko extract karna hai us part ko select karlena hai aur upr aapko option me selection me jana hai aur wahase extract pe click karna hai and aapka image background se alag hojayega and aapko new layer create karke usme colour daale and aapko extra parts jo background se bach gaye hain wo dikh jayenge aur aap unko erase brush se erase kar sakte ho to iska use karke comment me batao yaar kaisa laga aapko ye tool and follow me for more..
3. PICSART PHOTO STUDIO BACKGROUND ERASER TOOLS
    Isme koi dought nahi ki picsart studio app ko koi nahi janta yaar yahi to ek sahaara hai android photo editors ka jisse ham sab editors apne android phone me photo editing karte aarhe hai aur aage bhi karte rahenge and isi ke kaaran aaj youtube me sabhi photo editing wale youtubers aage bach paaye hai so guys ye ham sab ka favorite photo editing app hai and isko ham hamesha apne photo editing me use karte aarhe hai so mai aapko bataunga ki isme background erasing tool ka use sahi tarike se kaise karna hai...
  1. CUTOUT TOOL
  2. DRAW ERASER
  • CUTOUT TOOL Dosto ye tool mai apne sabhi tutorials me use kiya hai jisme mujhe kaafi jaldi background erase karne me madad mili hai and guys is method me aapko apne pic me wo area ko select karna hai jisko aap extract karna chate hai and select ke baad done me click karne par aapka wo area png me save hojayega jo aapko aapke gallary me mil jayega and aapke picsart app ke sticker wale feature me save hojayega, lekin isme aapko full hd me png nahi milega kyuki isme aapke iamge ka quality low hojata hai jisme photo editing me dikkat aasakti jai jo ham editors ke liye thik nahi kyuki hame hamesha high resolution me photo chaiye hota hai to uske liye next method ka use dekhiye..
  • DRAW ERASER Friends ye tool hame hamare sabse best photo editing app jo hamare android ke liye hai picsart me dekhne ko mil jata hai lekin aap mese bahut log iska use nahi karte hai aur kuch log iska use to karte hai wo h bhi apne pic ko high resolution ke liye jisme brush tool se iamge ke corner me chota sa dot lageke but sahi h ye bhi lekin aapko iske sabhi tools ka use karna aana chaiye jisse aapke photo editing me kaafi improvment aayega and aapko apne hi kaam me maza ayega to iske eraser app ko use krke dekhiye aur iska use karne ke liye aap sabse pehle ek new layer le lijiye and usko apne iamge ke niche wale layer me kar dijiye aur usme koi bhi ek colour le lijiye jaise green colour best hai aur apne pic ko select karke background ko erase karna start kardena hai fir dekhna aapko bilkul detail me background eraseing ka maza ajayega to ye tool maza ayega to comment me jarur batana yar and thanks..
4. TOUCH RETOUCH
    Guys is app me aapko kaafi fayda hone wala hai jaise maine aapko upar dusre apps bataye hai unse ye app bilkul diffrent hai and guys ye kyu hai mai aapko iske aage btaunga ki isme dusre apps ke mukable kaafi acche tool kya hai so chaliye dekhte hai, So guys mai bata dena chahta hu ki is app me aapke background erase nahi hoga balki background me jo bhi unwanted things hai unko aap remove kar sakte ho jaise aap kahin photo click karaye huye hai aur aapke pic me kuch bhi aisa chij aagya hai jisko aap hatana chahte hai to aap isme iske tool se us item ko select karke bahut aasani se remove kar paoge jisse wo item 1 second me remove ho jayega and aapke image se and background se remove hojayega..


  1. HOW TO USE TOUCH RETOUCH
  • USE OF TOUCH RETOUCH APP
Select object remover brush and aapke image me jo bhi unwanted content hai usme is brush ke madad se colour kardo and go ke button par click kardo aapka wo item remove hojayega and isse bhi agar nahi hota hai to aap stamp tool ka use karke us content ko apne image se hata sakte hai. agar iamge me line jaise koi item hai jaise wire hai to aapko ise hatane ke liye line remover ka use karna hai and go pe click karke remove karlena hai so yahi hai iska use..


5.PIXOMATIC PHOTO EDITOR
  Dosto waise to pixomaticall in one photo editor app hai aap isme sahi type ke features ka use kar sakte ho lekin ham iske eraser tool ko use karenge aur dekhenge ki hamare iamge ka background is aap se akise erase hota hai and iska use karna sahi h ya nahi so chaliye dekh lete hai..
  1. PIXOMATIC ERASER TOOL
  • USE OF PIXOMATIC ERASER TOOL
So guys jaise ki ham jaante hai ki pixomatic app me kaafi saare features hai aur ham isse ek awesome pic editing kar sakte hai lekin kya aapko iske earaser tool ka pta hai jisse aap apne image ke background ko kaafi aashani se erase kar paoge, agar nahi pata to isme mai aapko batane ja rha hu so lets get started, So guys aapko apne pic ko pixomatic app me open karna hai and eraser tool select karke apne image me jis background ko chhor ke apne model pe red colour se select kar lena hai like coutlines and go pe press karna hai aur aapke image ka bacground removed hojayega so guys yahi hai iske eraser app ka use.

SO GUYS MAINE ISME AAPKO TOP 5 BACCKGROUND ERASER APPS FOR ANDROID BTAYA HAI TO AGAR AAPKO PASAND AAYA HOGA TO AAP MERE IS POST KO JARUR APNE FRIENDS KE SAATH SHARE KAREN AND MUJHE COMMENT ME BATAYE KI AAPKO KAISA LAGA YE SAARE APPS SO THANKS..

2 comments:

  1. Normally, I use the Background Eraser application on my Android phone, which I have already hacked with the luckypatcher application. By the way, I will try the all above apps near future. Now bookmarked...

    ReplyDelete