FREE STYLISH FONT DOWNLOAD ZIP FILE BY LEARNING WITH SR
Dosto ekbar firse welcome aapka learningwithsr me and guys aaj bahut hi khaas chij leke aaya hu jo ki ham editors ko har photo editing me title dena hota hai jisme hamko kuch stylish font chaiye hote hain so guys ye hame aashani se nahi mil paate and simple font to asie hi mil jaate hain jo kisi kaam ke nahi hota hain jisko ham sirf kuch name likhne me use kar sakte hain so guys isi ko dekhte huye maine aaplogo ke liye new stylish font leke aaya hu jisko aap zip file me download kar sakte ho wo bhi ye saare stylish font free me hai and aap isko apne photoshop ya picsart kisi bhi app me use kar sakte ho computer me bhi and mobile me bhi to aage read karo ki kaise download karna hai and in stylish fonts ko kaise aap apne picsart me add kar sakte ho mobile me and photo shop me kase add kar sakte ho ye bhi isme aapko bata dunga so aage read kijiye.
HOW TO ADD STYLISH FONT IN PICSART
Doston jaise ki aap is stylish font ke zip file ko download karloge uske baad aapko apne mobile me ek app ki jarurat padegi jiska name hai Zarchiver app jo ki zip files ko open karta hai so ye stylish font ka file aapko zip fle me milega so aapko ise download karne ke liye yahi app ka use karna hai and ab aap isko extract to karliye uske baad isko apne picsart app me kaise add karna hai wo bhi padh lo, So doston iske baad aapko apne file manager me jaana hai aur jaha pe aapne apne stylish font ko extract kiye hai waha se isko copy karlena hai and apne file manager me jaake android folder me picsart application ke file ko open karna hai and uske data me jaake jaha bhi font ka folder dikhe waha isko paste kardena hai so ab apne picsart app ko open karne par aapko saare free stylish font dekhne ko milega aur usko aap apne logo banane me ya photo editing me use kar paoge jisse aapko banner editing me bhi aashani hogi jisse awesome stylish text me banner banega so guys ab dekhte hain pc me kaise isko use karna hai.
HOW TO ADD STYLISH FONT IN PHOTOSHOP
Guys maine upar bataya ki aap in free stylish fonts ko kaise apne picsart me aadd kar sakte ho to aise hi photoshop me bhi kaise aap inko use kar paoge bahut hi aashan hai guys to pehle aapko apne computer me is stylish fonts ke zip file ko rar software se extract karlena hai jisme sabhi zip,rar file open hote hain so is file ko extract karne ke baad aapko iske folder ko open karke isme jitne bhi font hai sab ko select all karna hai and right click karke ek option ayega install ka to usme click karoge o aapke pc me saare font install hojayenge matalb jitne bhi aapke pc me text editing ya photo editing wale software hain un sabhi me ye stylish fonts visible hojayenga so aap iska use kar paoge apne photoshop me.
USE OF STYLISH FONT
Hey guys in fonts ka kaise use karna hai jisse aapke pic me ye sahi tarike se match ho jaye kyuki is zip file me 1500+ se bhi jyada font aapko dekhne ko milenge so guys aapko sahi font ka use karna hai to isme signature font bhi milenge jisse ki aap apne photo editing me apne logo ke liyesignature font ka use kar sakte ho and kuch hindi font bhi hain lekin ye saayd hi mobile me picsart ke app me kaam ayenge so fir bhi dekh lena aur movie poster editing ke liye khas fonts add kiya hu is file me jaise matrix movie font, blade movie font,disney font,bat man font,3d font picsart,superman font,avengers font,blood font,dare devil font,criminal font and kuch bollywood movies ke bhi font hain jaise dangal font, ek tha tiger font, race font download, aur hollywood ke harry potter font aapko mil jayega so guys in sabhi ko movie poster editing, manipulation editing,banner graphic design editing ye sab me use kar sakte ho aur iske aapko koi bhi paise nahi lagenge jaise picsart me kuch paid font and sticker hote hain so guys download and enjoy.
ALSO CHECK ↓
muhammad
ReplyDelete